Wednesday, July 21, 2010

urdu poetry part 280

Raat bhar chaand ko ham aise taka karte hain..
Chaand me yaar ki tasweer lagi ho jaise..

SHAYIR:
WASIM Rajupuri. (U.P.)


Kab talak ghairo'n ke aage haath phailayega yu'n..
Kaat kar jangal se Lakdi tu kamana seekh le...

SHAYIR
SHAAD JAMAYI (BKL)



Ham ko aate nahi
adaab-e-mohabbat lekin..
Ishq paband-e-zuba'n ho ye zaroori toh nahi..

SHAYIR:
SYED HAIDER RAZA
(Shamli)


Hazaro'n aafate'n aa kar bashar ke saath chalti hain..
Museebat me ghira insaa'n kabhi tanha nahi rehta..
-
ISHWAR DATT ANJUM


Udhar woh aap baithe hain Idhar tasweer rakkhi hai..
Kahein par khwab rakkha hai Kahein ta'beer rakkhi hai..
-
MASROOR TABISH


Har ghadi yaad teri khwab tere zikr tera..
Zindagi tere tasauwur me basar hoti hai..

SHAYIRAH:
ZAIBUNNISA ZAIBA,
(Rajasthan)


Tumhare bin adhori har khushi hai mere jeevan ki.
Khuda ne kaash tum ko meri Qismat me likha hota.

SHAYIRAH:
KUSUM KHUSHBU.



Mujhe thukra ke ja sakte ho tum tasleem hai lekin..
Kaha'n jawoge
aaghosh-e-tasauwur se juda ho kar..
-
RAJENDAR NATH REHBAR.


Kitna mushkil hai tujhe ab bhoolna mere liye..
Dil ki har dhadkan meri ab naam leti hai tera..

SHAYIR:
Dr. Tahir Malik.



Manzil unhe thukrati hai bekaar samajh kar..
Ruk jaate hain jo raah ko dushwaar samajh kar..

SHAYIRAH:
ANU JASROTIA,
(J&K)

No comments: