Tuesday, July 20, 2010

urdu poetry part 279

Kuchh aise hadisaat bhi dil par guzar gaye..
Ham chalte chalte apne hi saaye se dar gaye..

SHAYIR:
FAIYAZ SHAKEEB,
Bangalore


Tere honto'n se tabassum bhi chhupaya na gaya..
Mai ne palko'n me samandar ko chhupa rakkha hai..

SHAYIR:
FAIYAZ SHAKEEB.


Nichhawar phool kal hote thay ham par jin dareecho'n se.
Wahein se aaj ham par raat din patthar baraste hain.

FAIYAZ SHAKEEB


Jeete ji bhool kar bhi vasiyet na keejye..
Khud aap apne Qatl me shirkat na keejye..

SHAYIR:
FAIYAZ SHAKEEB,
Bangalore..


Mera dil tere ta'aqub me nikal jayega..
Mai toh reh jaounga tanha tujhe rukhsat kar ke..

SHAYIR:
FAIYAZ SHAKEEB
Bangalore..


Karna padega sabr jafa par wafa ke saath..
Ho jaaye jab kisi se mohabbat kisi tarah..

SHAYIR:
SAIFULLAH ARSHAD SAIF...


Baithe baithe apne hi ghar me musafir ho gaye.
Ham ne hijrat bhi nahi ki aur muhajir ho gaye.

SHAYIR:
WASIM MALIK, (Gujarat)



Bichhad kar tujhse ye mat poochh kis alam me rehta hun.
Khilona khel me jaise kisi bachche ka kho jaaye.

SHAYIR:
IBN-E-HASAN



Gaao'n me jab tak raha phoolo'n sa tha mera mizaaj..
Mai tumhare shehr me aaya toh patthar ho gaya..

SHAYIR:
HASEEB SOZ.



Jab se Footpath pe sote huwe bachche dekhe..
Mujh ko dasne laga us roz se bistar mera..

SHAYIR:
SHAMEEM KIRATPURI.
(U.P.)

No comments: