Sunday, August 1, 2010

urdu poetry part 291

Ham ne usko jo tarasha toh woh shahkaar huwa..
Warna patthar hi tha woh shakhs sanam se pehle..

SHAYIR:
KHALID FATEHPURI.



Tum sun ke jise chal diye thaame huwe dil ko..
Unwaan-e-fasana hai ye afsana nahi hai..

SHAYIR:
KHALID FATEHPURI,
(Lucknow)



Woh jisko samjhe thay ham na-khuda wahi aakhir..
Hamari kashti-e-dil ko bhanwar me chhod gaya..

SHAYIR:
KHALID FATEHPURI.



Har lafz lafz mehkega uske labo'n ke saath..
Tanhayiyo'n me jab woh Ghazal gungunayega..

SHAYIR:
KHALID FATEHPURI,
(Lucknow)



Muflis se kuch mila na usay jab jahez me.
Thukra ke uski Beti ka rishta woh chal pada.

SHAYIR:
HAMSAFAR KUMTAVI.
(Karnataka)



Apna vujood ab toh paraya lage mujhe..
Khud ko hi dhoondta mera saya lage mujhe..

SHAYIRAH:
URMILA URMI, Surat. (Gujarat)



Jo moti lene doobe thay woh ab tak bhi nahi laute.
Samandar se jawahir le ke Machhware nikal aaye.

SHAYIR:
MASROOR TABISH.



Dhoondne nikla hun ikhlaas jaha'n me lekin..
Ye safar mujh ko sarabo'n ka safar lagta hai..

SHAYIR:
BISMIL BHATKALI...



Agar ghairo'n ki Qismat me likhi thi roshni uski.
Sitara meri nazro'n me woh kyun phir jhilmilaya tha.

(KUSUM KHUSHBU)

No comments: