Muska ke usne li thi ijazat vidaa ki..
Aankho'n se ta-hayaat woh manzar na jayega..
SHAYIR:
NADEEM FAROOQI,
Ramanagram.
Fareb khaye hain itne khushi ke naam pe ham.
Khushi ke naam se ab dil bhi kaanp jata hai.
SHAYIR:
NADEEM FAROOQI,
Ramanagram
Zindagi ke sehra me khud hain tishna-lab lekin..
Haadiso'n ko ham phir bhi apna khu'n pilate hain..
SHAYIR:
NADEEM FAROOQI.
Badal sakenge woh kaise zamane ki taqdeer..
Jo ek rote huwe tifl ko hansa na sake..
SHAYIR:
NADEEM FAROOQI,
Ramanagram.
Ham apne baare me ab sochna hi bhool gaye..
Tera khayal musallat hai bekhudi ki tarah..
SHAYIR:
NADEEM FAROOQI,
Ramanagram.
Bheegta aaya hun mai bhi aaj apne ghar NISAR..
Ghul gayi'n bachcho'n ki dekho tofiya'n barsaat me.
SHAYIR:
NARESH NISAR.
Waqt-e-rukhsat hosh kise tha kis ke dil par kya guzri.
Aankho'n ko khud ilm nahi hai kitne aansu nikle thay.
-
MASROOR TABISH
Raste me hi tamaam na ho jaaye zaad-e-rah..
Chadar ko dekh paao'n pasaro musafiro..
SHAYIRAH:
ANU JASROTIA,
Kathua. (J&K)
Har Qadam todta rehta hai jo nazuk rishte..
Dekhiye mujh ko wahi dars-e-wafa deta hai..
SHAYIR:
UMAR DARAZ,
(New Delhi)
Baato'n baato'n me chhidi baat hai jab bhi unki.
Ham khayalo'n me kahein door uda karte hain.
SHAYIRAH:
KUSUM KHUSHBU.
No comments:
Post a Comment