Saturday, August 7, 2010

urdu poetry part 296

Ghurbat me bhi vaqaar bachana pada mujhe..
Mujh ko mere zameer ne rone nahi diya..

SHAYIR:
NAZEER RAHI,
Harin bari (Kolkata)



Qatre ki aarzu hai bujha lunga apni pyaas..
Kyun mujh se mil ke RAHI samandar udaas hai..

SHAYIR:
NAZEER RAHI,
Kolkata..



Diya khamosh ho jaye toh mera dil jala lena.
Tumhare raaste me bas charagh-e-dil hi kaafi hai.

SHAYIR:
NAZEER RAHI,
Kolkata.



Jazba-e-shahe jaha'n sahl nahi hai RAHI..
Warna har shakhs ka ghar TAJ MAHAL ban jata..

SHAYIR:
NAZEER RAHI,
Kolkata.



Ham ne toh uske zulm ka shikwa nahi kiya.
Kya baat hai ke aaj sitamgar udaas hai.

SHAYIR:
NAZEER RAHI,
Harin bari.
(Kolkata)



Tamaam umr guzaari thi jin gunaaho'n me..
Bawaqt-e-marg woh manzar phire nigaaho'n me..

SHAYIR:
BISMIL Bhatkali,
(Karnataka)



Mohabbat ke samandar ki woh gehrayi ko kya naape'n.
Tamasha dekhte hain jo kanare par khade ho kar.
-
SHAAD JAMAYI
Bhatkali.



Tum ko hai da'wa agar Tairaak hone ka toh phir.
Meri aankho'n ke samandar me utar kar dekh lo.

SHAYIR:
IBN-E-HASAN Bhatkali.



Dil-e-mayoos me ummeed abhi baqi hai..
Vasl haasil mujhe hoga tera insha'allah..

SHAYIR:
SHABNAM Bhatkali,
(Karnataka)



Zindagi guzri kiraye ke makno'n me meri..
Dil me hasrat hi rahi shaam ko ghar jaaonga..

SHAYIR:
SYED Bhatkali,
(Karnataka)

No comments: