Sunday, August 8, 2010

urdu poetry part 297

Bakhsha tha jo Khuda ne unhe aaj woh maqaam..
Afsos khud hi bhool ke baithi hain Aurate'n..

SHAYIRAH:
NOURIN MAHEK...


Keh kar gaye thay jald hi aayenge laut kar...
Rang-e-hina ko haath taraste hain aaj bhi...

SHAYIRAH:
NOURIN MAHEK....



Tumhare naam ko mahendi se likh likh kar Hatheli par.
Dil-e-nadaan ko jhooti tasalli de rahi hun mai.

SHAYIRAH:
NOURIN MAHEK



Ay Mahek khwabo'n ki dunya me bhatakna chhod de..
Ab bhi hai mauqa sambhal ja warna pachhtayegi tu..

SHAYIRAH:
NOURIN MAHEK.



Gar samajhta hai tu apne waaste mujh ko Gulaab..
Khaar ban kar meri rakhwali bhi karna seekh le..

SHAYIRAH:
NOURIN MAHEK.



Nateeja kuchh na nikla haal-e-dil unko sunane ka.
Woh bal dete rahe aanchal ko bal khata raha aanchal.
-
RAJENDAR NATH REHBAR



Mera vujood ek mukammal kitab hai..
Bad-Qismati se mujh ko kisi ne padha nahi..

SHAYIR:
ILYAS RAHAT Muzaffar nagari. (U.P.)


Mazdoor ki hatheli pe ab kya raha WASIM.
Qismat ki rekha kho gayi chhalo'n ki bheed me.

SHAYIR:
WASIM MALIK, Surat
(Gujarat)



Budha tha woh jo daf'atan Bachcho'n sa ro diya.
Suraj ke doob jaane ke manzar ko dekh kar.

SHAYIR:
SHAMEEM HAYAT,
Bangalore.



Tu chahta toh dilo'n me bhi sab ke rehta magar..
Teri zubaan ne tujh ko sadak pe rakkha hai..

SHAYIR:
WASIM RAJUPURI.

No comments: