Saturday, August 14, 2010

urdu poetry part 304

 GHAZAL4U wishes all the readers Happy
"INDEPENDENCE DAY"
May Allah protect our country from all calamities and disasters.



Subh ko Ped bhi Masjid ki tarah lagta hai..
uth ke dekho kabhi Chidiyo'n ka tilawat karna..

SHAYIR:
WASIM MALIK,
(Gujarat)


Musalla yaad karta hai tujhe tasbeeh roti hai..
Bhula kar deen-o-imaa'n ko Cinema dekhne waale..

SHAYIR:
WASIM RAJUPURI.



Raat din uski hado'n ko todta phirta hai tu..
Jis ne Ay kamzarf tujh ko Quwwat-e-parwaaz di..

SHAYIR:
ILYAS RAHAT. (U.P.)



Bhool kar mil kar raho achchhe bure ko dosto..
Phool bhi ahbaab hain gulshan me dekho khaar ke..

SHAYIR:
SHAMEEM HAYAT.



The Prophet Muhammad (peace and blessings be upon him) said:
"Give to the worker his wages befor his sweat dries" (Ibn Majah)


Ghareeb ki na aah le sitam na kar Khuda se dar..
Kahein tujhe Ghareeb ki na ek fugha'n samet le..

SHAYIR:
NARESH NISAR.



Us se badh kar bhi zamane me Vali hai koyi..
Jisne Ghurbat me bhi imaan bacha kar rakkha..

SHAYIRAH:
Dr. Virottama Sargam.



Da'wa Mansoor sifat hone ka kar ke dekho..
Tum bhi is daur me sooli pe nazar aawoge..

SHAYIR:
AALAM NIZAMI,
(Balrampur)



Shayed jhuka nahi hai ye aage Yazeed ke.
Rakkha dikhayi de hai jo neze pe sar mujhe.

SHAYIR:
YUNUS PARVEZ AKHTAR,
Bangalore.

No comments: