Monday, August 16, 2010

urdu poetry part 305

Aisi be-misl kaha'n aur dawa milti hai..
Aab-e-zamzam se mareezo'n ko shifa milti hai..

SHAYIR:
AALAM NIZAMI,
(Balrampur)



Teri tadbeer me kuchh nuqs hai warna BISMIL.
Kisko Qudrat ne zamane me ubharne na diya?

SHAYIR:
BISMIL BHATKALI,
(Karnataka)



Reh ke parde me bhi badh sakti hai aage Aurat..
Kaun kehta hai taraqqi me rukawat hai Hijab ???

SHAYIR:
SHABNAM Bhatkali.



Uske bando'n ke yaha'n aaib chhupaye jisne..
Hashr me aaib Khuda uske chhupa deta hai..

SHAYIR:
SAIFULLAH ARSHAD SAIF.


HADEES:
Allah will cover up on the Day of judgment the defect of the 1 who covers up the faults of the others in this world.


Meri aankhe'n ho'n
ziya-paash woh manzar dekhu'n.
Khwab me
sarwar-e-konain ka paikar dekhu'n. (S.A.W)

SHAYIR:
SHAMEEM HAYAT.



Laakh ghurbat rahi kirdaar ka sauda na kiya..
Ghar se nikla toh sada sar ko utha kar nikla..

SHAYIR:
WASIM RAJUPURI. (U.P.)



Jab tak tha woh Ghareeb Qana'at pasand tha..
Daulat ne dil me Hirs ka pauda uga diya..

SHAYIR:
IBN-E-HASAN Bhatkali...



Ghulaman-e-Nabi jab Na't dil se gungunate hain.
Shajar ho ya Hajar Shams-O-Qamar sab jhoom jate hain. (S.A.W)

TALIB SIDDIQUI

No comments: