Monday, August 30, 2010

urdu poetry part 319

Raat soye thay tasauwur ke chaman-zaaro'n me..
Subh jaage toh khayalaat ka sehra paya..

SHAYIR:
MAHB00B RAHI,
(Akola)





Mandir Masjid ki azmat ka donau rakkhe'n paas.
Tum bhi apna Roza rakkho mai rakkhu'n Upvas.

SHAYIR:
PANDIT PARAMVIR
KAUSHIK.





Whenever a Muslim supplicates for his(Muslim) brother in his absence, the angels say: May the same be for you too.

(Muslim)





Mujhe gar aazmayega yaqeenan toot jaounga..
Mere Maalik tere Ayyub sa sabir nahi hun mai..

SHAYIR:
SHAMEEM HAYAT,
Bangalore.





Ye jism-o-jaa'n ke gharonde bigadne waale hain..
Vujood sab ka yaha'n ek Habaab jaisa hai..

SHAYIR:
RAJENDAR NATH REHBAR.





Mere Azeez ! Mere tootne pe tanz na kar..
Har ek usool ghareebi me toot jata hai..

SHAYIR:
HASEEB SOZ,
Budaun. (U.P.)





Sheeshe ke jism walo ye Patthar ka shehr hai..
Ab tootye ya khud ko bhi Patthar banayiye..

SHAYIR:
NAZEER RAHI,
(Kolkata)





Ek markaz pe tawajjuh rahi markooz meri..
Mai ne afkaar ka sheeraza bikharne na diya..

SHAYIR:
SHABNAM BHATKALI,
(Karnataka)





Gardish-e-aiyam jab mera muqaddar ban gayi..
Mere mamnoon-e-karam tak bhi na pehchane mujhe..

SHAYIR:
SHAMEEM KIRATPURI.





Yarab ! Ye kya azaab hai nasl-e-jadeed par..
Karti hai aish purkho'n ki dastaar bech kar..

SHAYIR:
AALAM NIZAMI,
Balrampur.

No comments: