Saturday, September 18, 2010

urdu poetry part 338

In jazeero'n me teri yaad ke moti hain bahut.

Meri aankho'n me tera aks chhupa rehta hai.


SHAYIR:


KHALID FATEHPURI,
Lucknow.
 
 
Har Qadam par Thokare'n Nakamiya'n Ruswayiya'n..

Kya mohabbat karne walo'n ka yahi anjaam hai ???


SHAYIR:
SYED Bhatkali.
 
 
Phoolo'n ki hifazat par mamoor thay jo kaante..

Takte hain wahi unko ab chhubti nigaaho'n se..


SHAYIR:
IBN-E-HASAN Bhatkali.
 

Mujhe bechain rakhti hai tumhare pyar ki khushbu.

Mohabbat jab se ki tum se meri saanse'n mahekti hain.


Dr. Virottama Sargam
 
 

Tujh ko chaha tere jude me na taanki kaliya'n..

Qaid rakkha mujhe halaat ki zanjeero'n ne..


SHAYIR:
ILYAS RAHAT, (U.P.)
 
 

Deta tha jo wafa ka mujhe dars har ghadi...

Woh khud hi bhool baitha hai naam-e-wafa talak...


SHAYIRAH:
NOURIN MAHEK.
 

Khoon ke rang me doobi huwi har surkhi hai..

Ek nazar daal ke dekho zara Akhbaro'n par..


SHAYIR:
FAIYAZ SHAKEEB,
Bangalore.
 


Unki bhi palak jhapki Apni bhi palak jhapki.

Woh husn-e-taghaful tha Ye husn-e-taqaza hai.


SHAYIR:
YAQOOB ASLAM,
Vaniyambadi
 


Sochne ki apne baare me na mohlat mil saki..

Har ghadi bas aap ke baare me hi socha kiye..


SHAYIR:
HAMSAFAR KUMATAVI.

No comments: