Monday, September 20, 2010

urdu poetry part 339

Dekh paate Mukhliso'n ka makr aakhir kis tarah..
Seedhe saadhe log thay woh deedah-war aise na thay..

SHAYIR:
MAHB00B RAHI.





Ada toh Qarz mohabbat ka ham ko karna hai.
Hamari aankho'n ko ab ashkbar rehne de.

SHAYIR:
TALIB SIDDIQUI,
Darbhanga, Bihar.





Agar woh bheeg gaya is baraste Saawan me..
Tamaam shehr ka Paani Sharab kar dega..

SHAYIR:
HASEEB SOZ,
Budaun. (U.P.)





Ab bhi tanhayi me usko yaad kar leta hun mai..
Jis ne haal-e-dil na mujh ko aaj tak kehne diya..

SHAYIR:
ISHWAR DATT ANJUM.





Buri nigaah ta'aqqub me unke rehti hai.
Gharo'n se apne nikalne na do Haseeno'n ko.

SHAYIR:
Dr. Fitrat Bhatkali.
(Karnataka)





Hukoomat par hai Qabza har jaga dast-e-hinayi ka..
Alam jisko samajhte hain wahi aanchal nikalta hai..

SHAYIR:
MUKHTAR BADRI





Mujhe ummeed hai ek din muqaddar jagmagayega..
Meri tareek dunya me woh ban kar Chaand aayega..

SHAYIRAH:
NOURIN MAHEK.





Lakh phir nadamat ho us se kuchh nahi hota..
Ek zara si ghaflat se Dil toh toot jaata hai..

SHAYIR:
SHAMS DEOBANDI. (U.P.)





Wafawo'n ke safar me ajnabi ka kya bharosa hai.
Jise parkha nahi us aadami ka kya bharosa hai.

SHAYIR:
WASIM MALIK,
Gujarat.





Jab kaha tha tum ne mujh ko chashm-e-nam se Alvida.
Khoon ke aansu rulata hai woh manzar aaj bhi.

SHAYIR:
IBN-E-HASAN. (BKL)

No comments: