Monday, September 20, 2010

urdu poetry part 340

Tu na jaane tera pal bhar ko dikhayi dena..
Kitni raato'n ki meri neend uda deta hai..

SHAYIR:
MASROOR TABISH. (U.P.)





Ab ta'assub ke Qafas ko tod kar baahar nikal..
Aadmiyyet ki satah par aadmi ki baat kar..

SHAYIR:
SHAMEEM HAYAT,
Bangalore.





Sambhalo aap apne ko nazakat waqt ki samjho.
Raha ye haal toh meri bhi himmat toot jayegi.

SHAYIR:
NARESH NISAR.
(Surajpur)





Chhod de nadaniya'n ab tu nahi Bachcha HAYAT.
Dawdna titli ke peechhe na-gahaani chhod de.

SHAYIR:
SHAMEEM HAYAT,
Bangalore.





Hayil rahi zuba'n teri rishto'n ke darmiya'n..
Jab bhi chali dilo'n ki ye
doori badha gayi..

SHAYIR:
AYUB BAIG DANISH.





Ham tajribo'n ki dhoop me sadiyo'n jale WASIM.
Bargad ke neeche baith ke Gyani nahi huwe.

SHAYIR:
WASIM MALIK, Surat.
(Gujar





Bhool kar bhi na kabhi koyi tamanna karna..
Warna pad jayega kaanto'n pe guzara karna..

SHAYIRAH:
ANU JASROTIA. (J&K)





Bhanwar se bach nikalne par bahut maghroor mat hona..
Kanaaro'n par bhi aa kar log aksar doob jaate hain..

(SHAMS DEOBANDI)





Woh bewaqoof sar-e-raah daal kar sikke..
Har ek shakhs ki pehchan karna chahta hai..

SHAYIR:
HASEEB SOZ,
Budaun. (U.P.)

No comments: