Tuesday, October 5, 2010

urdu poetry part 346

Ghareebi dekh kar meri mujhe thukra diya usne..
Ke shayed aarzu thi usko Shahzade ko paane ki..

SHAYIR:
HAMSAFAR KUMTAVI.


Hame'n karni padegi aap hi khud apni nigrani..
Takenge kab talak chehre bhala ham Hukmraano'n ke..

SHAYIR:
SHAMEEM HAYAT.


Samajh kar phool bhanwre bhi Labo'n ko choom lete hain..
Khuda ne kya ajab jadu tere chehre me rakkha hai..

(WASIM RAJUPURI)


Daman ho chaak jhoot ka mushkil toh hai magar..
Ho kar Aya'n rahegi sadaqat kisi tarah..

SHAYIR:
SAIFULLAH ARSHAD SAIF.


Jahaan-e-aab-o-gil paband momin ke isharo'n ka.
Magar momin taqaza-e-khilafat bhool baitha hai.

SHAYIR:
ABDUL KHALIQ ANEES.


Mere dushman na sahi haath me shamsheer mere.
Mera kirdaar shuja'at ka bharam rakkhega.

SHAYIR:
ILYAS RAHAT
Muzaffar nagari.


Adawat se na Nafrat se na Dahshat se nikalta hai..
Kisi bhi mas'ale ka hal mohabbat se nikalta hai..

SHAYIR:
WASIM MALIK.


Lagaye ghaath baithe hain tere maskan ka Fistayi.
Ilahi bhej de phir se Ababeelo'n ka woh Lashkar.

SHAYIR:
IBN-E-HASAN (BKL)


Samajh kar phool bhanwre bhi Labo'n ko choom lete hain..
Khuda ne kya ajab jadu tere chehre me rakkha hai..

(WASIM RAJUPURI)


Na itna showr kar zalim hamare toot jaane par.
Ke gardish me falak se bhi sitara toot jaata hai.

SHAYIR:
HASEEB SOZ,
Budaun.

No comments: