Wednesday, October 6, 2010

urdu poetry part 347

Bistar-e-marg pe woh meri taraf raaghib hain..
Aaj mai taqat-e-izhaar kaha'n se laawu'n..

SHAYIR:
SYED ABUBAKER MALIKI.


Kya kya sawaal meri nazar poochhti rahi.
Lekin woh aankh thi ke barabar jhuki rahi.

SHAYIR:
RAJENDAR NATH REHBAR,
Pathankot.


Tod dena koyi rishto'n ko badi baat nahi..
Sakht dushwaar hai rishto'n ka bnaye rakhna..

SHAYIR:
RASHID RAJUPURI. (U.P.)


Tum waqt ke taiwar se kabhi khauf na khana..
Haq ye hai ke Haq surkhru ho kar hi rahega..

SHAYIR:
HANEEF SHAH SHABNAM.


Rok sakta nahi ye raah ka patthar mujh ko..
Kha ke thokar bhi sambhalne ka hunar rakhta hun..

SHAYIR:
SHAAD JAMAYI
(Bhatkal)


Kaun hai is nagari ka Qatil kis se milega khoon-baha..
Munsif se ummeed lagaye ek zamana beet gaya..

SHAYIR:
TABISH MEHDI.


Andhero'n me thi kal tak rahguzar doobi huwi apni..
Woh aakhir kaun hai kis ne yaha'n deepak jalaye hain???

(KUSUM KHUSHBU)


Kisi ki raah ka patthar na ban mere Bhayi..
Phirega thokre'n khata huwa zamane ki..

SHAYIR:
SHAMEEM KIRATPURI.
(U.P.)


Adl-o-insaaf ka phir khoon huwa hai shayed..
Mujh ko Munsif ka Qalam khoon se tar lagta hai..

SHAYIR:
BISMIL BHATKALI.


Majboor ye halaat bana deti hai warna..
Aurat koyi fitrat se tawayif nahi hoti..

SHAYIR:
TALIB SIDDIQUI,
Darbhanga. (Bihar)

No comments: