Saturday, October 16, 2010

urdu poetry part 356

Tumhare bakhshe huwe dard ko tumhare baad..
Bana ke seene me ek yadgaar rakhti hun..

SHAYIRAH:
ZAIBUNNISA ZAIBA.
(Rajasthan)





Ghayel kahein na kar de haqarat ke teer se..
Rakhiye karam ki aas na Taza Ameer se..

SHAYIR:
WASIM MALIK, Surat.
(Gujarat)





Dil me gar soz-e-yaqee'n hai jazba-e-isaar hai.
Waqt ka aatish-kada phir rokash-e-gulzaar hai.

SHAYIR:
Dr. Fitrat Bhatkali.





Shehr-e-jafa me mujh ko wafa ki talaash hai..
Ya'ni ke teergi me ziya ki talaash hai..

SHAYIR:
TALIB SIDDIQUI, (Bihar)





Kya kare'n ham ehtimaam-e-subh-e-nau phir dosto..
Zindagi ki shaam hi jab mukhtasar lagne lage..

SHAYIR:
SHAMS DEOBANDI.





Kahein bhar kar chhalak jaye na mere zabt ki chhagal.
Yu'n mujhko
Ay sitamgar kab talak tu aazmayega.

SHAYIRAH:
NOURIN MAHEK





Allah jaane kitne mare hain fasaad me..
Ek bheed si lagi hai kafan ki dukan par..

SHAYIR:
SIBTAIN PARWANA, Katihar, (Bihar)





Haasil ki uske Bete ne kursi Mudeer ki...
Itna padhaya Baap ne akhbaar bech kar...

SHAYIR:
AALAM NIZAMI,
(Balrampur.)



Tere Qadmo'n se lipat jaane ko bechain thay jo..
Phool woh aaj bhi shaakho'n se jhada karte hain..

SHAYIRAH:
KUSUM KHUSHBU.





Ziyada inkisaari bhi hamari jaan le legi..
Jo hai pehchaan ek apni wahi pehchaan le legi..

SHAYIR:
SHAMEEM KIRATPURI.

No comments: