Sunday, October 17, 2010

urdu poetry part 357

Aajayiye idhar ko jo iftaar kar sake'n..
Muddat huwi hai aankho'n ko roza rakhe huwe..

SHAYIR:
JAVED AASI,
Rajupur. (U.P.)





Ab woh Qurbaani ka jazba hai kaha'n ushshaaq me.
Ahd-e-haazir me mohabbat khel ban kar reh gayi.

SHAYIR:
SHAAD JAMAYI, (BKL)





Shikast kha ke mohabbat me yu'n udaas na ho..
Ye Haar Jeet se behtar hai Haarne waale..

SHAYIR:
RAJENDAR NATH REHBAR.





Wafa ka badla wafa ho ye husn kya jaane..
Hamari bhool thi ham ne jo aitibaar kiya..

SHAYIR:
RAFFATH ASIFI,
Bangalore.





Bikhar kar roshani jab door karti hai andhero'n ko.
Samajhye jhoot par sachchayiyo'n ki jeet hoti hai.

Dr. Virottama Sargam.





Dil toh mera hi jala khauf hai lekin ASLAM..
Aanch daman pe na unke kahein aayi hogi..

SHAYIR:
YAQOOB ASLAM,
Vaniyambadi.





Woh galiya'n aaj bhi yu'n hi hamari raah takti hain.
Ke jin galiyo'n me bachpan me tumhare saath khela tha.

(SHAMEEM HAYAT)





De gaya paighaam-e-ulfat aankho'n aankho'n me mujhe..
Lab-kushayi ki na usne fasila rehne diya..

SHAYIR:
ISHWAR DATT ANJUM.

No comments: