Mai ne maangi thi Mohabbat mil gayi'n Ruswayiya'n..
Raat din dasti hain Nagin ban ke ab tanhayiya'n..
SHAYIRAH:
NOURIN MAHEK
Meri yaado'n ke jangal me pagal hawa..
Ban ke aaya tha woh sarsarata raha..
SHAYIR:
SHAMEEM HAYAT,
Jayanagar, Bangalore.
Maqtal me chala aaya
hun mai Ghar se nikal kar..
Dekhunga mere sar ko Qalam kaun karega..
SHAYIR:
ABDULLAH RAAZ Deobandi.
Jigar ka khoo'n pila kar Maa ne jis Bete ko pala tha..
Usay maloom ye kab tha wahi usko bhula dega..
SHAYIR:
IBN-E-HASAN
Mera shewa tha mohabbat meri aadat thi wafa..
Dosto'n ki kam-nigaahi ne badal dala mujhe..
SHAYIR:
SHAMS DEOBANDI, (U.P.)
Aaj PARWANA koyi karta nahi kaar-e-sawab..
Jo bhi jaata hai toh jaata hai azaabo'n ki taraf..
SHAYIR:
SIBTAIN PARWANA,
Bihar.
Dhoondti rehti hain nazre'n woh phool sa chehra..
Jaane us saawli surat me kashish hai kaisi..
SHAYIR:
ILYAS RAHAT...
Udd gaye hosh mere jab toh woh aankhe'n boli'n..
Hai maza aur hi kuchh jaam k chhalkane me..
SHAYIR:
KHALID FATEHPURI
Jo pee le gham se ghabra kar woh kab jeene ke Qabil hai..
Jise kehte hain mekhwana woh
Na-mardo'n ki mehfil hai.
-
BISMIL
Labo'n par jab tumhare muskurahat dekh leti hun..
Chhupa leti hun apna dard aansu ponchh leti hun..
SHAYIRAH:
Dr. Virottama
No comments:
Post a Comment