Tumhare thay Tumhare hain Tumhare hi rahenge Ham..
Zaba'n se aaj dil ki baat ka izhaar karte hain.
SHAYIR:
YAHYA AL-WASIQ
Tu chhin gaya toh pyar ki barsaat chhin gayi..
Ab mere dil ki aag ko thanda karega kaun?
SHAYIR:
ROSHAN ZAMEER,
Bangalore.
Jab apne maazi me jhaanka toh kis qadar gham thay..
Safar taweel tha aur raah me shajar kam thay..
SHAYIRAH:
SHAYISTA JAMAL
Thi jiski deed ki muddat se aarzu mujh ko..
Gali se aaj meri woh guzarne wala hai..
SHAYIR:
SURAJ Karnataki,
Hari Har.
Naseeb apna bhi ab ke
sawarne wala hai..
Koyi nigaah se dil me utarne wala hai..
SHAYIR:
SURAJ Karnataki,
Hari Har...
Meri Qismat me abhi tak shaam-e-gham ka hai sama'n..
Muskurayi subh par mai muskura sakta nahi..
SHAYIR:
YAQOOB ASLAM
Jo saya Baap ka utth jaaye saari zindagi dobhar.
Magar Mamta na ho Maa ki toh Bachche toot jaate hain.
SHAYIR:
MAHB00B RAHI
Teri tasweer ko aankho'n me basa rakkha hai..
Mai ne is tarha sanam paas-e-wafa rakkha hai..
SHAYIR:
MAHTAB AAZAD Deobandi.
Kuchh hamare hi samajhne me huwi hai takheer..
Unki janib se ishare toh kayi baar huwe..
SHAYIR:
MUKHTAR BADRI,
Krishnagiri.
Haweliyo'n me toh sab kuchh hai dosto lekin..
Kaha'n sukoon milega ghareeb khane ka ???
SHAYIR:
GOUHAR TARIKERVI,
Mysore.
No comments:
Post a Comment