Kisi din saamne aawo Hamare rubaru baitho.
Ye Telephone par baate'n hame'n achchhi nahi lagti.
SHAYIRAH:
ANU JASROTIA
(J&K)
Padh liya karte hain chehre se mizaaj..
Ab mere bachche siyane ho gaye..
SHAYIR:
NARESH PAUL NEHRA NISAR,
(Himachal pradesh)
Woh mohabbat bhi bahut karta hai ghussa bhi bahut.
Jaane is turfa tabi'at me chhupa hai kya kya.
SHAYIRAH:
VIROTTAMA SARGAM
Rone dhone ke bhi dastoor huwa karte hain.
Apne ashko'n me Lahu dil ka mila kar rona.
SHAYIR:
ISHWAR DATT ANJUM,
(New Delhi)
Karte rahenge ham bhi khataye'n nayi nayi.
Tajweez tum bhi karna Sazaye'n nayi nayi.
SHAYIR:
RAJENDAR NATH REHBAR,
(Punjab)
Mohabbat kar ke ruswayi se darna bhi hai ruswayi..
Mohabbat ka hamesha dahr me charcha bhi hota hai..
SHAYIR:
FAIYAZ SHAKEEB
Mujhe chahata koyi aur hai Mujhe poojta koyi aur hai..
Mai dua toh hun kisi aur ki Mujhe maangta koyi aur hai..
-
ILYAS RAHAT
Ajeeb mera hai ishq yaaro Ajeeb diwangi hai meri..
Mai uske Namay ka muntazir hun Jise kabhi Khat likha nahi hai..
-
BISMIL
Koyi us shakhs se puchhe ibadat kisko kehte hain..
Jo din bhar apne bachcho'n keliye RICKSHAW chalata hai..
-
WASIM RAJUPURI.
Tamaam umr jise
jaam-e-zindagi samjha..
Woh zehr ban ke rago'n me utar gaya yaaro..
SHAYIR:
IFTIKHAR AHMED IQBAL,
Hyderabad.
No comments:
Post a Comment