Ab saanp kuchalne me mere kaam woh aayi..
Bekaar kabhi int jo aangan me padi thi..
SHAYIR:
SAIFULLAH ARSHAD SAIF
(Karnataka)
Jurm tha uska faqat itna ke woh ba-resh tha..
Is bina par usko Dahshatgard gardana gaya..
SHAYIR:
IBN-E-HASAN Bhatkali.
Buzurgo'n ki na hurmat hai na Qadr-o-manzilat koyi.
Ye bachche aaj kal k unko hi aankhe'n dik**** hain.
SHAYIR:
ILYAS AFAQUE
Khushiyo'n ke badle me tum ne mujh ko di hai bechaini..
Hanste gaate din maange thay sehmi sehmi raat mili..
-
SHAMEEM HAYAT
Ghair ke shaane pe jab se haath dekha hai tera..
Ham khuda se har ghadi bas maut hi maanga kiye..
SHAYIR:
HAMSAFAR Kumtavi.
Mujhe
haqeeqat-e-wadah ka ilm tha phir bhi..
Har ek lamha tera intizaar karna tha..
SHAYIR:
MUNEER RASHEEDI,
Krishnagiri.
Soyi huwi thi hasrate'n arsa daraaz se..
Usne chhua jo dil ko toh bedaar kar gaya..
SHAYIR:
TAHIR MALIK,
Saharanpur. (U.P.)
Qabl-az-parwaz apne bazuwo'n par kar nazar.
Phir bulandi naap lena kehkasha'n aur chaand ki.
SHAYIR:
SHAAD JAMAYI,
(Bhatkal)
Maana ke ham Ghareeb hain tum Maal-daar ho.
Izzat Khuda ne di hai k uncha hai apna sar.
SHAYIR:
ABDUL KHALIQ ANEES Bhatkali.
Ab kaanto'n se phoolo'n ki mahek aane lagi hai..
Is daur ke phoolo'n me chubhan dekh raha hun..
SHAYIR:
ANEES IBRAHIM.
No comments:
Post a Comment