Azmat-e-ishq dikhani thi jaha'n ko warna.
Naar-e-namrood me MEHB00B na dala jaata..
SHAYIR:
AALAM NIZAMI,
(Balrampur)
Ye aur baat ke karte hain ham kadi mehnat.
Bahut aham hai ibadat bhi jism-o-jaa'n keliye.
SHAYIR:
AHMED NAZEER,
Vaniyambadi.
Azaan-e-subh pe jis dam mai jaag uthta hun..
Meri saher ko ujaale Arab se milte hain..
SHAYIR:
WASIM MALIK, Surat. (Gujarat)
Jiske shar se nahi mahfooz padosi uska..
Uski maqbool na koyi bhi ibadat hogi..
SHAYIR:
ILYAS RAHAT
Muzaffar nagari. (U.P.)
HADEES:
Prophet (pbuh) siad:
Anyone whose neighbour is not safe from his misdeeds is not a true Believer.
(Bukhari & Muslim)
Mai ek ameer hun sab ko yaqee'n tha kya kehta..
Ke ek Qameez me kaati hain sardiya'n mai ne..
SHAYIR:
SHAMS Deobandi.
Shola-e-hirs toh ye Gul bhi khila deta hai.
Qatl ek Bhayi ka Bhayi se kara deta hai.
SHAYIR:
SHAMEEM KIRATPURI. (Deoband)
Tu kehta hai ke Beta ab nahi sunta teri lekin.
Kabhi socha hai tera Baap se bartao kaisa tha???
SHAYIR:
IBN-E-HASAN Bhatkali
Lagi jab chot dil par toh huwa ehsaas ye KHUSHBU..
Ana se apni mai ne jaane kitne dil dukhaye hain..
SHAYIRAH:
KUSUM KHUSHBU
"URDU POETRY captivate our soul and minds.
It gives us broad outlook and vision.
So do read urdu couplets of GHAZAL4U."(ghazalforu)
No comments:
Post a Comment