Hausale khud hi batayenge bulandi ki nisha'n.
Raah me apna khat-e-taqdeer mat dhoonda karo.
SHAYIR:
TALIB SIDDIQUI, (Bihar)
Hai nafrat aaj kaanto'n ko bhi mujh se..
Mai ek ghuncha hun murjhaya huwa sa..
SHAYIR:
HAMSAFAR KUMTAVI.
Kumta. (Karnataka)
Najane khwahishe'n kitni woh paale baitha hai..
Jo apni marzi se ek saans bhar nahi sakta..
SHAYIR:
IMRAN ADEEB
Jhinjhanvi.
Band mutthi hai toh Kankar par bhi Heere ka guma'n..
Mat kisi ke saamne Aansu baha faryaad kar..
SHAYIR:
RASHID RAJUPURI.
Toot kar shaakh par yunhi atka huwa..
Zindagi ek patta hai latka huwa..
SHAYIR:
SHAMEEM HAYAT,
Bangalore. (Karnataka)
Hai zinda ke jeene ki saza kaat raha hai.
Woh shakhs jo
ahkam-e-khuda kaat raha hai.
SHAYIR:
MASROOR TABISH,
Rajupur. (U.P.)
Chand lamhe shaakh par khil kar jo Gul murjha gaya.
De gaya paigham Ham ko zindagi ki shaam ka.
SHAYIR:
SHAAD JAMAYI (BKL)
Azmat-e-ishq dikhani thi jaha'n ko warna.
Naar-e-namrood me MEHB00B na dala jaata..
SHAYIR:
AALAM NIZAMI,
(Balrampur)
Ye aur baat ke karte hain ham kadi mehnat.
Bahut aham hai ibadat bhi jism-o-jaa'n keliye.
SHAYIR:
AHMED NAZEER,
Vaniyambadi.
Azaan-e-subh pe jis dam mai jaag uthta hun..
Meri saher ko ujaale Arab se milte hain..
SHAYIR:
WASIM MALIK, Surat. (Gujarat)
No comments:
Post a Comment