Ghul raha hai har lamha zindagi ka sarmaya..
Barf ke pighalne me dair kitni lagti hai..
SHAYIR:
SYED HAIDER RAZA.
(Shamli)
Har samt ehtimaam hai Ramazan keliye..
Mauqa ye bakhshisho'n ka hai insaan keliye..
SHAYIR:
JAVED AASI, Rajupur.
(U.P.)
Mahfooz jiski lau se na ho'n ghar ke baam-o-dar..
Aise diye ko SHAMS bujha dena chahiye..
SHAYIR:
SHAMS DEOBANDI. (U.P.)
Raat soye thay tasauwur ke chaman-zaaro'n me..
Subh jaage toh khayalaat ka sehra paya..
SHAYIR:
MAHB00B RAHI,
(Akola)
Whenever a Muslim supplicates for his(Muslim) brother in his absence, the angels say: May the same be for you too.
(Muslim)
Matlabi dunya me ANJUM tere gham baantega kaun..
Rabita rakkhenge tujh se log apne kaam tak..
SHAYIR:
ISHWAR DATT ANJUM.
Mujhe bhi maal-o-zar paane ki hasrat tang karti hai..
Zameer-o-zarf ka lekin mai sauda kar nahi sakta..
SHAYIR:
IBN-E-HASAN.
Mai jinko din ke hangamo'n me jaa kar chhod aata hun..
Zara si aankh lagte hi woh sapne laut aate hain..
SHAYIR:
WASIM MALIK
Kal ameer-e-shehr ne sikko'n me tola hai usay..
Lag raha hai ghaliban us ne sharafat chhod di..
SHAYIR:
ILYAS RAHAT (U.P.)
Hazaro'n koshishe'n kar ke bhi Ghurbat haar jati hai.
Yaha'n par Rishwate'n chalti hain Mehnat haar jati hai.
WASIM RAJUPURI
No comments:
Post a Comment