Yarab ye kya azaab hai nasl-e-jadeed par..
Karti hai aish purkho'n ki dastaar bech kar..
SHAYIR:
AALAM NIZAMI,
Balrampur.
Gardish-e-aiyam jab mera muqaddar ban gayi..
Mere mamnoon-e-karam tak bhi na pehchane mujhe..
SHAYIR:
SHAMEEM KIRATPURI.
Ek markaz pe tawajjuh rahi markooz meri..
Mai ne afkaar ka sheeraza bikharne na diya..
SHAYIR:
SHABNAM BHATKALI,
(Karnataka)
Raat soye thay tasauwur ke chaman-zaaro'n me..
Subh jaage toh khayalaat ka sehra paya..
SHAYIR:
MAHB00B RAHI,
(Akola)
Whenever a Muslim supplicates for his(Muslim) brother in his absence, the angels say: May the same be for you too.
(Muslim)
Mahfooz jiski lau se na ho'n ghar ke baam-o-dar..
Aise diye ko SHAMS bujha dena chahiye..
SHAYIR:
SHAMS DEOBANDI. (U.P.)
Koyi ek kash laga kar phenk deta hai CIGAR apna..
Koyi afsos karta hai jo BEEDI toot jaati hai..
SHAYIR:
JAVED AASI. (U.P.)
Ghul raha hai har lamha zindagi ka sarmaya..
Barf ke pighalne me dair kitni lagti hai..
SHAYIR:
SYED HAIDER RAZA.
(Shamli)
Kar guzarte ho akele hi
Burayi ko magar.
Saath sab ka chahiye tum
ko Bhalayi ke liye.
SHAYIR:
AYUB BAIG DANISH,
(Karnataka)
Kis tarha mil sakegi hidayet unhe ANEES..
Khud ko sanwaarne ki jinhe'n fikr hi nahi..
SHAYIR:
ABDUL KHALIQ ANEES.
(Bhatkal)
No comments:
Post a Comment