Sote ho tum toh chain se chadar ko odh kar..
Raato'n ko jaagne ka maza ham se puchhiye..
SHAYIR:
SYED HAIDER RAZA,
(Shamli)
Izhaar-e-tamanna me hai tahqeer-e-tamanna..
Tum itna samajh lo toh ye idraak bahut hai..
SHAYIR:
FAIYAZ SHAKEEB,
Bangalore.
Us ne bakhshi hai hame'n zillat-o-khwari ki Rida.
Ham ne jis shakhs ko azmat ki Qabaye'n di hain.
SHAYIR:
SHAMEEM KIRATPURI.
Rah-e-adam ke musafir tera Khuda-hafiz..
Ke is safar se koyi laut kar nahi aaya..
SHAYIR:
RAJENDAR NATH REHBAR,
Pathankot.
HADEES:
Hazrat Muhammad
(Sallallahu alaihi wasallam) said:
"Charity extinguishes sin as water extinguishes fire." (Ahmed)
Dekha jo uske Lehje me ek aamirana-pan.
Ham ne bhi apna shahd sa Lehja badal diya.
SHAYIR:
MAHB00B RAHI,
Akola (Maharashtra)
Aab-e-ulfat se bujha do bughz ki chingariya'n..
Warna bhadkega aadawat ka sharara ek din..
SHAYIR:
IBN-E-HASAN Bhatkali.
Unki khatir har sitam par marhaba kehte rahe..
Zulm ko ehsaan Gaali ko dua kehte rahe..
SHAYIR:
YAQOOB ASLAM,
Vaniyambadi.
SHAMS jab se khatm yaaro'n se marasim ho gaye..
Mujh ko dushman khud mere diwaar-o-dar lagne lage..
SHAYIR:
SHAMS DEOBANDI.
You are requested to peruse the couplets of GHAZAL4U'S Poets.
Because they are inspiring &
heart-touching.
Plz
do
enjoy
them.
No comments:
Post a Comment