Magar afsos is par bhi na tum jaage na ham jaage..
Azaan-e-subh sunte hi parinde jaag jaate hain..
SHAYIR:
WASIM MALIK.
Jo suroor me na hai saaz me na kisi ki zulf-e-taraaz me.
Zara sar jhuka k toh dekhye woh suku'n milega Namaz me.
ILYAS RAHAT
Paida huwa hai khaak se anjaam khaak hai..
Phir bhi tu chhodta nahi shekhi bagharna..
SHAYIR:
SHABNAM BHATKALI,
(Karnataka)
Thokar me shaan-e-fuqr ki ARSHAD hai kayinaat..
Hirs-o-hawas ke shehr me khud ko sambhaliye..
SHAYIR:
SAIFULLAH ARSHAD SAIF.
HADEES:
If any1 doesnt avoid false talk & false conduct during Siyam,then Allah doesnt care if he abstains from food & drink.
Jo gunaho'n ka tha dil par bojh halka kar liya..
Kalma ro ro kar padha imaan taza kar liya..
SHAYIR:
MASROOR TABISH.
Dukhtar-e-hawwa lage parde me mujh ko is tarah..
Seepiyo'n ke darmiya'n hota hai moti jis tarah..
SHAYIR:
SHAAD JAMAYI.
Bahut hai door Masjid se Namazo'n se khafa sa hai..
HAYAT aise kisi ke din kabhi achchhe nahi aate..
SHAYIR:
SHAMEEM HAYAT.
Sun ke dastak na samajh lena ke Sayil hoga..
Dekh chokhat pe Madadgaar bhi ho sakta hai..
SHAYIR:
AHMED NAZEER,
Vaniyambadi.
Mai diya ban kar jali jis keliye ta-zindagi..
Usne hi rakkha hai ab mujh ko hawa ki dosh par..
SHAYIRAH:
NOURIN MAHEK.
No comments:
Post a Comment