Haneef shah Shabnam Bhatkali ke qalam se
ISPITAL KI GATE PAR!!!
Kitni majboor hai janta zara socho to sahi
Kitna zalim hai zamana zara socho to sahi
Ek hamila aurat
Ispital pahunchi is umeed par
ke uski zachgi hogi
tabeebaun ki madad se
par use aane na diya andar.
Ispital walon ne
Jante ho kyoon?
Paisa nahi tha uske pass.
Lahu khareedne ke liye!
Phir kya huwa?
Bahut bura huwa
Janam diya us aurat ne
Ek bacche ko
Ispital men naheen
Ispital ki gate par!!!
Aur phir
Kar gayi rooh
Qafas-e-unsari se parwaaz
Zacha-o-bachcha
donaun ki!
Khabar jab ye suni mai ne to roya khoon ke aansoon
Huwa barjasta ye matla,suno tumko sunata hoon
Nizam-e-gulsitan yarab badal jaye tau achcha hai
Naheen tau phir mera dam hi nikal jaye tou achcha hai
No comments:
Post a Comment