Ek naghma hun mohabbat ka nahi mit sakta..
Mai toh har daur me dunya ko sunayi dunga..
SHAYIR:
WASIM MALIK, Surat.
(Gujarat)
Mai aksar doobta hun jab kabhi tere khayalo'n me..
Toh apne chaar su ek roshani mehsoos karta hun..
SHAYIR:
JAVED AASI.
Ay adeel-e-waqt ab aankho'n se patti khol de..
Warna le doobega tujh ko bhi Lahu Insaaf ka..
SHAYIR:
IBN-E-HASAN Bhatkali.
Kis ko Sitam-raseedah Sitamgar kise kahe'n..
Saare Sitam-zadah toh Sitamgar ke saath hain..
SHAYIR:
MAHB00B RAHI, (Akola)
Mai tere Qad ke barabar agar nahi hota..
Kisi safar me bhi tu hamsafar nahi hota..
SHAYIR:
HASEEB SOZ,
Budaun. (U.P.)
Do chaar Lafz pyar ke le kar mai kya karu'n..
Dena ho toh wafa ki mukammal kitaab do..
SHAYIR:
SHABNAM BHATKALI,
(Karnataka)
Mohabbat ham bhi karte hain magar izhaar ki khatir.
Gareba'n phaad kar galiyo'n me chillana nahi aata.
SHAYIR:
ZIA KARNATAKI
Koyi maane ya na maane ye haqeeqat hai SHAMEEM..
Waqt ke saath badalne me maza aata hai..
SHAYIR:
SHAMEEM KIRATPURI.
(U.P.)
Hans hans ke poochhte ho tum haal mere dil ka..
Aise me ab kaho tum kya aitibaar aaye..
SHAYIR:
KHALID FATEHPURI,
(Lucknow)
Na chaah kar bhi nigahe'n usi pe thee'n markooz..
Jo chaah kar bhi na dekha kamaal tha uska..
SHAYIR:
SYED BHATKALI.
No comments:
Post a Comment