Takoge raah Saharo'n ki tum Miya'n kab tak..
Qadam uthao ke taqdeer intizaar me hai..
SHAYIR:
TABISH MEHDI,
(New Delhi)
Kisi ka husn na tehra meri nigaaho'n me..
Jab apni zaat ka irfaan ho gaya mujh ko..
SHAYIR:
YAQOOB ASLAM,
Vaniyambadi.
Tarz-e-sulook usne jo apna badal diya..
Ham ne bhi apna taur tareeqa badal diya..
SHAYIR:
MAHB00B RAHI,
Akola. (Maharashtra)
Ab siwa tere dikhayi nahi deta kuchh bhi..
Dil ko kis mod pe le aayi mohabbat teri..
SHAYIRAH:
ANU JASROTIA,
Kathua. (J&K)
Jal rahi hain teri yaado'n ki tapan se aankhe'n..
Ban ke aa mast baharo'n ki hawa ka jhonka..
SHAYIRAH:
Dr. Virottama Sargam
Nahi hai koyi kharidaar apna dunya me..
Hamara haal bhi
Urdu kitaab jaisa hai..
SHAYIR:
RAJENDAR NATH REHBAR,
Pathankot.
Nikal raha hai dhuwa'n aankh ke dareecho'n se..
Makaan-e-zaat me jalta huwa sa kuchh toh hai..
SHAYIR:
ALTAF ZIA, (Malegaon)
Mai tere Khat ke mutabiq toh jaagta hun magar..
Ye aasra meri aankhe'n kharaab kar dega..
SHAYIR:
HASEEB SOZ,
Budaun. (U.P.)
Tadapna talmalana toh dil-e-momin ka shewa hai.
Sifat Seemaab ki Patthar ke andar aa nahi sakti.
SHAYIR:
Dr. Fitrat Bhatkali
Bulandi jab muyassar ho taherna seekhiye us par..
Agar aankho'n se girte hain kuchal jaate hain Qadmo'n me..
(ILYAS RAHAT)
No comments:
Post a Comment