Phir kaha'n thokar lagegi aur kya sambhlenge log..
Raaste se jab koyi patthar utha le jayega..
SHAYIR:
ILYAS RAHAT, (U.P.)
Ushshaaq-e-namuraad ka anjaam dekh kar.
Nafrat si ho gayi hai Mohabbat ke naam se.
SHAYIR:
IBN-E-HASAN Bhatkali.
(Karnataka)
Bojh har ek mere zehn se hat jaata hai..
Hans ke Beta mera jab mujh se lipat jaata hai..
SHAYIR:
WASIM RAJUPURI. (U.P.)
Chand lamhe bhi na guzre hain mile unse magar..
Phir se milne ki tamanna hai dil-e-betaab me..
SHAYIR:
HAMSAFAR KUMTAVI.
Ab uski yaad sone deti nahi kahein bhi..
Ek shab teri gali me jo ham guzaar aaye..
SHAYIR:
KHALID FATEHPURI,
(Lucknow)
Bimaar mat bano kabhi yaktarfa pyar ke..
Ye La-dawa maraz hai bhayanak hai maut se..
SHAYIR:
SAIFULLAH ARSHAD SAIF...
Hulya tawangari ne jab uska badal diya..
Usne libaas ki tarah shajra badal diya..
SHAYIR:
WASIM MALIK,
Surat. (Gujarat)
Dekha hai jab se aap ko taaro'n ki chhao'n me.
Ek aag si lagi hai mere dil ke gaao'n me.
SHAYIR:
BISMIL BHATKALI
(Karnataka)
Kabhi ghuroor na karna HAYAT phoolo'n par..
Khaza'n ke saath juda hai bahaar ka mosam..
SHAYIR:
SHAMEEM HAYAT,
Bangalore.
Zamane bhar ke gham ka bojh dil par toot jaata hai.
Kisi muflis ka jab Barish me chhappar toot jaata hai.
(RASHID RAJUPURI)
No comments:
Post a Comment