Do chaar Lafz pyar ke le kar mai kya karu'n..
Dena ho toh wafa ki mukammal kitaab do..
SHAYIR:
SHABNAM BHATKALI,
(Karnataka)
Mohabbat ham bhi karte hain magar izhaar ki khatir.
Gareba'n phaad kar galiyo'n me chillana nahi aata.
SHAYIR:
ZIA KARNATAKI
Koyi maane ya na maane ye haqeeqat hai SHAMEEM..
Waqt ke saath badalne me maza aata hai..
SHAYIR:
SHAMEEM KIRATPURI.
(U.P.)
Hans hans ke poochhte ho tum haal mere dil ka..
Aise me ab kaho tum kya aitibaar aaye..
SHAYIR:
KHALID FATEHPURI,
(Lucknow)
Na chaah kar bhi nigahe'n usi pe thee'n markooz..
Jo chaah kar bhi na dekha kamaal tha uska..
SHAYIR:
SYED BHATKALI.
Asbaaq zindagi ke woh phir se padhunga mai.. Qaasir hun jin ko SAIF Samajhne se aaj tak..
SHAYIR:
SAIFULLAH ARSHAD SAIF.
Woh aadami jo tabassum ke aabshaar me hai..
Najane kitne gham-o-ranj ke hisaar me hai..
SHAYIR:
TABISH MEHDI,
(New Delhi)
Meri nazro'n se na tu inko chhupa payega..
Tera hansna tere zakhmo'n ka pata deta hai..
SHAYIRAH:
KUSUM KHUSHBU,
(Punjab)
Aajayiye idhar ko jo iftaar kar sake'n..
Muddat huwi hai aankho'n ko roza rakhe huwe..
SHAYIR:
JAVED AASI,
Rajupur. (U.P.)
No comments:
Post a Comment