Sunday, May 23, 2010

urdu poetry part 100

Ro rahe thay uske bachche woh khila sakta na tha.
Gham ke is manzar ne SHABNAM ko rulaya dair tak.

SHAYIR:
SHABNAM Bhatkali.







Tahzeeb-e-nau ne aaj taraqqi ke naam par..
Aurat ke sar se sharm ki chadar utaar di..

SHAYIR:
IBN-E-HASAN Bhatkali..







Mai RAHAT hun har ek dil ki ghazal hai guftgu meri..
Mera har lafz dhadkan hai har ek dil ki zaban hun mai..
-
ILYAS RAHAT







Mohabbat hai mujhe tujh se tu ye kehta toh hai lekin.
Teri aankho'n me jaane kyun meri soorat nahi dikhti.
-
AYUB BAIG DANISH







Gham na kar agar BISMIL dost bewafa tehre..
Zar ko chahne waale tere hain na mere hain..

SHAYIR:
BISMIL Bhatkali.
(Karnatak)







Hai Qatl begunah ka insaniyet ka Qatl..
Pehle jihaad keejye khud apne aap se..

SHAYIRAH:
Dr. Virottama,
Bangalore....







Hai bahut mushkil ghadi ye har kisi ke waaste..
Aadami khatra bana hai aadami ke waaste..

SHAYIR:
SHAMEEM HAYAT,
Bangalore.







Dard-e-dil Dard-e-jigar Ranj-o-alam Zulm-o-sitam..
Dosti me hain mile unse inayaat mujhe..

SHAYIR:
Ghouse Peer Hamdard







Rakh liya ahl-e-dil ne wafa ka bharam..
Naam tere sitam ka karam rakh diya..

SHAYIR:
TALIB SIDDIQUI,
Darbhanga, Bihar.







Kitne chehre teri takhleeq me baqi hain abhi..
Kya khabar kaun tera aakhiri chehra hoga..

SHAYIR:
AKBAR ZAHID,
Vaniyambadi.

No comments: