Sunday, May 23, 2010

urdu poetry part 105

Ja rahe ho jaao lekin yaad ye bhi toh rahe.
Baat jab phailegi toh ho jayengi ruswayiya'n.

SHAYIR:
SHAMEEM HAYAT,
Bangalore.







Lagi huwi hain dukane haseen rishto ki.
Ye taajiro'n ka zamana hai pyar kya jaane.

SHAYIR:
ILYAS RAHAT
Muzaffar nagar (U.P.)







Jis ne lagayi gulshan-e-dil me hamare aag..
Ghar uska roshni me nahaye Khuda kare..

SHAYIR:
BISMIL Bhatkali...
* * * *







Mohabbat woh nahi jiska zaban izhar karti hai..
Ye woh ehsaas hai jo dil ke goshe me panapta hai..

SHAYIRAH:
Dr. Virottama







Mazloom ko zaroor mile zulm se najat..
Lekin hai shart adl-e-jahangeer chahiye..

SHAYIR:
Dr. Fitrat Bhatkali.
(Karnatak)







Kya ajab sa vasl ka aalam hai ye..
Band lab bhi haal batlane lage..

SHAYIR:
Ghouse Peer Hamdard,
Davangere.
(Karnatak)




Dard ki dhoop jo phaili toh koyi paas na tha..
Har taraf baant diya pyar ka saya ham ne..

SHAYIR:
FAIYAZ SHAKEEB,
Bangalore.







Baahar se mujhe hansta huwa dekhne walo..
Andar se mai sheeshe ki tarah toot chuka hun..

SHAYIR:
RAJ PREMI
Bangalore..







Woh jhijakte huwe aaye hain iyadat keliye.
Rasm-e-ulfat bhi hai aur wajh-e-mulaqat bhi hai.

SHAYIR:
ANEES IBRAHIM,
Bangalore







Kaat di umr tujhe soch ke tanhayi me..
Tujh se bichhda toh kisi se bhi mulaqat na ki..

SHAYIR:
SHAMS DEOBANDI,
Saharanpur.

No comments: