Sunday, May 23, 2010

urdu poetry part 99

Meri Maa aur Behno'n ki jo azmat ko kare zahir..
Taqaddus se mai wabasta wahi aanchal banata hun..

SHAYIR:
SIBTAIN PARWANA







Meri pehchan ka aayina hai khali khali..
Mit gaye saare nishanaat Khuda khair kare..

SHAYIR:
ANEES IBRAHIM,
Bangalore.







Izhar-e-ishq keliye jur'at nahi rahi..
Mai pesh kar raha hun gul-e-tar khata muaaf..

SHAYIR:
ROSHAN ZAMEER,
Bangalore.







Shawoor-e-zabt ne rone diya na ham ko JALAL..
Wagarna khoon ke aansu nikal gaye hote..

SHAYIR:
JALAL MADANI,
Vaniyambadi.







Ujdi basti me kaun aaya sapno ke mehlaat liye..
Jaise waqt-e-aakhir aaya jeene ke lamhaat liye..

SHAYIR:
GHOUSE PEER HAMDARD





Unki nigaah-e-naaz ka aalam na puchhiye..
Kuchh yu'n utthi k haath se talwar gir gayi..

SHAYIR:
TALIB SIDDIQUI, Bihar.







Ban jaaye na kahein ye teri haar ka sabab.
Takiya kiye huwe hai purani kaman par.

SHAYIR:
AARIZ MIYAN,
Garhi pukhta. (U.P.)







Kitne chehre teri takhleeq me baqi hain abhi..
Kya khabar kaun tera aakhiri chehra hoga..

SHAYIR:
AKBAR ZAHID,
Vaniyambadi.







Zakir wahi hai zikr me jisko maza mile..
Aabid wahi hai sajde me jisko Khuda mile..

SHAYIR:
Dr. Fitrat bhatkali.
(Karnatak)







Jo chhupi hai dil me tere uss mohabbat ko sanam..
Woh lab-e-izhar par la kar sunana chhod de..

SHAYIR:
SAIFULLAH ARSHAD SAIF

No comments: