Tuesday, May 18, 2010

urdu poetry part 46

Jise thukra ke tu ne kar diya ruswa zamane me..
Najane kis gali me besahara woh pada hoga..

SHAYIR:
IBN-E-HASAN Bhatkali...





Nishane par hai unke har ghadi masoom dil mera.
Dil-e-nazuk pe woh hans kar hamesha waar karte hain.

SHAYIR:
YAHYA AL-WASIQ





Mil ke tum mujh se kahein phir na juda ho jawo..
Ek isi khauf ne neendo'n ko uda rakkha hai..

SHAYIR:
MAHTAB AAZAD Deobandi.





Woh toh taqdeer me tha kisi aur ki..
Mai muqaddar jaha'n aazmata raha..

SHAYIR:
SHAMEEM HAYAT,
Jayanagar,
Bangalore.





Urooj par janab ko ghuroor hai baja magar..
Khabar nahi k kis ghadi ye aaftab dhal pade..

SHAYIR:
SHAMS Deobandi.
(U.P.)







Waqt badla hai toh lazim hai k ham bhi badle'n..
Dosto ! Aao chale'n waqt ki raftar ke saath..

SHAYIR:
Ehsan Mukarrampuri.





Tu mujhe chahe na chahe teri marzi tehri..
Saans ban kar mai tere dil me utar jawunga..

SHAYIR:
SYED BHATKALI,
(Karnatak)





Khidmat-e-nadaar karna bhi ibadat hai teri..
Dil agar toda kisi ka sab ibadat rayiga'n..

SHAYIRAH:
Dr. Virottama Sargam





Mai uske saath na chal pawungi zamane me..
Woh jiska haath raha hai mujhe mitane me..

SHAYIRAH:
SHAYISTA JAMAL,
Bhopal.





Waqt-e-rukhsat toh kaha hans kar Khuda hafiz magar..
Sabr ka jab band toota door ja kar ro pade..

SHAYIR:
ILYAS RAHAT

No comments: