Tuesday, May 18, 2010

urdu poetry part 47

Reh ke parde me bhi badh sakti hai aage Aurat..
Kaun kehta hai taraqqi me rukawat hai Hijab..

SHAYIR:
SHABNAM Bhatkali





Jalan hai Zakhm hain Aansu hain karb aur gham hain..
Koyi bataye bhala kya kami hai mere paas..

SHAYIR:
MAHB00B RAHI,
Akola.





Kyun tharthara raha hai
ahl-e-jafa ke aage..
Jal ja charagh ban kar sarkash hawa ke aage..

SHAYIR:
Saifullah Arshad Saif.





Ashjaar ek taraf hain Mere dost ek taraf..
Mai jaanta hun dhoop me saya karega kaun..

SHAYIR:
ROSHAN ZAMEER,
Bangalore.





Pyar apnate hain kuchh log toh thukrane ko..
Karke ta'meer gira dete hain kashane ko..

SHAYIR:
AHMED NAZEER,
Vaniyambadi.





Khud na aane ki Qasam kha ke gaye ho lekin..
Iltija ye hai k ab yaad bhi aaya na karo..

SHAYIR:
ANEES IBRAHIM,
Bangalore.





Phal phool khatm hote hi har ek shaakh se..
Panchhi tamaam udd gaye tanha raha shajar..

SHAYIR:
Dr. Suhail Nizam, Hubli.





Ro lenge ham kabhi kisi goshe me baith kar..
Ye chashm-e-tar na raaz chhupaye toh kya kare'n ???

SHAYIR:
Zia Karnataki...





Dekhte hain woh mohabbat ki nazar se lekin..
Sab ki masoom nazar ho ye zaroori toh nahi..

SHAYIR:
NAZEER RAHI,
Kolkata..

No comments: