Tuesday, May 18, 2010

urdu poetry part 50

Tumhare waaste dunya se lad sakta hun mai lekin.
Tumhara Haath mere Haath me hona zaroori hai.

SHAYIR:
IBN-E-HASAN Bhatkali





Qatil kabhi Dushman kabhi Dildaar lage hai..
Kya janiye kya mujh ko mera yaar lage hai..

SHAYIR:
ABDULLAH RAAZ Deobandi.





Ham ne usko jo tarasha toh woh shahkaar huwa..
Warna patthar hi tha woh shakhs sanam se pehle..

SHAYIR:
KHALID FATEHPURI.





Shab ke sannate me aksar mai ne ye mehsoos kiya..
Koyi hai jo zeena zeena utar ke mujh tak aata hai..

SHAYIR:
FAIYAZ SHAKEEB





Kaise Maa ke bina woh bahelta bhala..
Baap lekin khilone dilata raha..

SHAYIR:
SHAMEEM HAYAT,
Jayanagar,
Bangalore.





Hamraah koyi chalta nahi dair tak ab ke..
Saath aap ke beeti huwi ek shaam bahut hai..

SHAYIR:
AHMED NAZEER,
Vaniyambadi.





Aaj bhi jiski kasak pehro rulati hai mujhe..
Mujh se woh beete dinau ki baat mat puchha karo..

SHAYIR:
ILYAS RAHAT, (U.P.)





Ehsaas jurm ka tumhe hota bhi kis tarah..
Dil par tumhare chot lagi hai abhi kaha'n ???

SHAYIR:
SHABNAM Bhatkali,
(Karnatak)





Jab na tha dunya me koyi dekhne wala mujhe..
Aasra gham ne diya aur dard ne pala mujhe..

SHAYIR:
SHAMS Deobandi, (U.P.)







Hame'n sharm-o-haya ka dars aise log dete hain..
K jin ko apni laghzish par bhi sharmana nahi aata..

SHAYIR:
Zia Karnataki.

No comments: