Kis tarah mai ne guzare hain shab-o-roz mere..
Kya tujhe yaad nahi mujh ko rulane waale..
SHAYIRAH:
SHAYISTA JAMAL,
Bhopal.
Mera naseeb agar mera saath de dega..
Woh mere haath me khud apna haath de dega..
SHAYIR:
Shameem Kiratpuri, Deoband.
Khaar-o-khas se dosti rakhna bahut mahenga pada..
Dekhte hain SHAMS nafrat se gul-o-lala mujhe..
SHAYIR:
SHAMS DEOBANDI
Azbar hai lafz lafz sabaq ki tarah mujhe..
Tu dastan-e-gham meri chahe jidhar se poochh..
SHAYIR:
SHABNAM Bhatkali...
Aayi hai agar subh toh phir raat bhi hogi..
Sooraj ke parastaar tujhe maat bhi hogi..
SHAYIR:
FAIYAZ SHAKEEB,
Bangalore.
Milne ko ham se woh bhi tadapte hain us taraf..
Bechain aashiqi me akele hami'n nahi..
SHAYIR:
YAHYA AL-WASIQ Deobandi.
Mandir Masjid ki azmat ka donau rakkhe'n paas.
Tum bhi apna Roza rakkho mai rakkhu'n Upvas.
SHAYIR:
PANDIT PARAMVIR
KAUSHIK.
Mere hanste huwe honto'n ko toh dekha sab ne..
Meri chhalki huwi aankhe'n na kisi ne dekhi..
SHAYIRAH:
Dr. Virottama Sargam
Tu nazar se door hai lekin nahi mujh se juda..
Dil ki waadi me Mahekte hain teri yaado'n ke gul..
SHAYIRAH:
NOURIN MAHEK
Baith ke chaurahe pe SABA jo din bhar hansta rehta hai..
Raat ko ghar me rota hoga aisa bhi ho sakta hai..
-
SABA DARBHANGVI
No comments:
Post a Comment