Usay bhi toh sataye gham kabhi
tark-e-ta'alluq ka.
Hami'n tanha
shab-e-hijra'n me kyun har baar Rote hain.
-
SHAMS Deobandi.
Ashraaf ki zamane me pagdi uchhal gayi..
Aur bad-nihaad
Saheb-e-kirdaar ho gaye..
SHAYIR:
GOUHAR TARIKERVI,
Mysore...
Kaise manzil pe pahonch payenge jaane waale..
Raasta bhool gaye raah batane wale..
SHAYIRAH:
SHAYISTA JAMAL,
Bhopal, (M.P.)
Apni beti ki taraf ghaur se dekho pehle.
Tum ko maloom ye ho jayega Aurat kya hai.
SHAYIR:
SABA DARBHANGVI,Darbhanga, Bihar.
Kheto'n me jo anaaj thay woh saare jal gaye..
Har samth kaisi aag ye barsa gayi hai dhoop..
SHAYIR:
SIBTAIN PARWANA, BIHAR
Jala rahe ho hamari beti jalawo lekin ye yaad rakkho.
Tumhari beti B ek na ek din kisi K ghar ki bahu banegi.
-
MAHTAB AAZAD
Mera Qatil tha magar mai ne Maseeha jana..
Jaal sazish ka kuchh is tarha bichhaya usne..
SHAYIR:
EHSAN Mukarrampuri.
Mohabbat ham bhi karte hain magar izhaar ki khatir.
Gareba'n phaad kar galiyo'n me chillana nahi aata.
SHAYIR:
Zia Karnataki
Anjuman sa tha jo kal zaat me khud apni NADEEM..
Jaane kya baat huwi aaj woh tanha hai bahut..
SHAYIR:
NADEEM FAROOQI
Ab mujhe dosti karne se bhi dar lagta hai..
Har bashar haath me phirta hai sharare lekar..
SHAYIRAH:
Dr. Virottama Sargam
No comments:
Post a Comment