Agar Dushman ke haatho'n lut gaye hote toh gham kya tha..
Yahi hai gham k apne Dosto'n ne ham ko loota hai..
-
Zia Karnataki.
Kyukar mai apne aap ko samjhu'n k haq pe hun..
Dunya mere khilaaf huwi hai abhi kaha'n ???
SHAYIR:
SHABNAM Bhatkali...
Meri khushiyo'n ke charagho'n ko bujhaya usne..
Aur ek umr mujhe khoon rulaya usne.
SHAYIR:
Ehsan Mukarrampuri,
Bihar.
Mai Insaa'n banne nikla tha k Shayir kar diya Rab ne..
Basarat ke tajassus me Baseerat mil gayi mujh ko..
-
FAIYAZ SHAKEEB
Padhta bhi koyi kaise k chehra safaid tha.
Dil tak hi rakkhi ham ne jo dil par guzar gayi.
SHAYIR:
KHALID FATEHPURI,
Lucknow
Khud aag laga kar ham dharti ki baharo'n me..
Ab dhoondne nikle hain sukh chain sitaro'n me..
SHAYIR:
BISMIL Bhatkali...
Mujh ko mil jayegi SHAYISTA andhere se najaat.
Meri raato'n me woh aaye toh ujala ban kar.
SHAYIRAH:
SHAYISTA JAMAL, BHOPAL.
Dushmani ki tarah itni aasa'n nahi..
Hausla chahiye Dosti keliye..
SHAYIR:
ABDULLAH RAAZ Deobandi,
Saharanpur. (U.P.)
Kitna hasee'n sama tha mohabbat ka in dinau'n.. Nafrat ki aag kis ne lagadi hai shehr me..
SHAYIR:
Saifullah Arshad Saif.
Mat banaya keejiye Rukhsaar pe kajal ka til..
Dekh lega aap ko toh Chand bhi sharmayega.
SHAYIR:
SABA DARBHANGVI, Bihar.
No comments:
Post a Comment