Sunday, May 30, 2010

urdu poetry part 202

Hame'n barbaad karne me thay apne bhi paraye bhi..
Sabab lutne ka aakhir ham bhala kis se baya'n karte..

SHAYIR:
NAZEER RAHI





Kya jaanye paa kar usay kya haal ho iska..
Dil soch ke jis shakhs ko betaab lage hai..

SHAYIR:
KHALID FATEHPURI,
(Lucknow)





Hasrate'n toot gayi kitni Sitaaro'n ki tarah..
Ham khade reh gaye khamosh Minaaro'n ki tarah..
-
JALAL MEHMOODI,
Bhadravathi.






Zulm seh kar bhi musalsal aah tak karta nahi..
Puchhte hain log mujh se be-zaba'n ye kaun hai..

SHAYIR:
SHAMEEM HAYAT.



Unka khayal Zeest ka gham Fikr-e-rozgaar..
2 din ki zindagani me kya kya kare koyi..

SHAYIR:
JALAL MADANI,
Vaniyambadi.





Takleef woh kya samjhenge kabhi
Footpath pe rehne walo'n ki.
Khud-saakhta jannat me apni jo log rihayish karte hain.

K.AMBAR





Woh hi insaa'n hai bahadur wahi azamat wala.
Jisne ghusse me bhi rakkha hai zuba'n par Qaabu.

SHAYIRAH:
Dr. Virottama Sargam



Agar hai zor-e-baazu toh karo koyi hunar paida..
Chalegi kab talak ajdaad ki ye marsiya-khwani..

SHAYIR:
YAQOOB ASLAM





Woh meri nigaaho'n me SHAYIR hi nahi TALIB..
Jo shakhs tabi'at ka hassas nahi hota..

SHAYIR:
TALIB SIDDIQUI,
Bihar. (U.P.)

No comments: