Sunday, May 30, 2010

urdu poetry part 207

Hum ne toh jis ke waaste sab kuchh luta diya..
Uss bewafa ne hum ko toh dil se bhula diya.

SHAYIR:
Nazeer Rahi
Kolkata









Mohabbat ka nahi koyi ta'alluq shakl-o-soorat se..
Mila deta hai dil se dil ko Allah apni Qudrat se..

SHAYIR:
IBN-E-HASAN







Aayina zara dekho phir chahe saza dena..
Is CHAND si soorat pe koyi bhi fida hoga..

SHAYIR:
BISMIL Bhatkali (GOA)
*****







Logo ne toh samjha hai k bas ek hunar hai..
Kehte hain jise shayiri woh khoon-e-jigar hai..

SHAYIR:
SHABNAM Bhatkali







Teri umr bhar rahi justju mai tujhe kabhi bhi na pa saka.
Mai toh hun baqeed-e-hayat par mujhe zindagi ki talash hai. (SYED)







Lab tere misre hain aise sher ke..
Jo ghazal me sab se pyara ho gaya..

SHAYIR:
Ghouse peer HAMDARD
Davangere..
*****









Unka jab dil me basera ho gaya,
Dil ki raato ka sawera ho gaya.
Mai toh uska sirf uska ho gaya,
Woh b mera sirf mera ho gaya.




Woh na aaye b toh koyi gham nahi,
Jab khayal unka sahara ho gaya.
Koyi apna ho sake na ho sake,
Unka hona tha hamara ho gaya.









Jaane kya baat hai aisi bhi rah-e-ulfat me..
Koyi taiyar nahi saath mere aane ko..

SHAYIR:
AHMED NAZEER
Vaniyambadi.








Tez hai dhoop thakamanda musafir hun mai..
Koyi saya bhi nahi raah me sastane ko..

SHAYIR:
AHMED NAZEER
Vaniyambadi.

No comments: