Sunday, May 30, 2010

urdu poetry part 203

Dunya ki jo daulat hai woh jaati bhi hai SYED..
Jo pyar ki daulat hai woh daulat nahi jaati..

SHAYIR:
SYED Bhatkali.





Mai ne tujhe chaha hai yahi meri khata hai..
Ta-umr mere dil se nadamat nahi jaati..

SHAYIR:
SYED ABUBAKER MALIKI Bhatkal.







Mujh ko bhula na pawoge ek pal bhi tum kabhi..
Har lamha meri yaad satayegi aap ko..

SHAYIR:
IBN-E-HASAN Bhatkal.







Tumhare waaste dunya se lad sakta hun mai lekin..
Tumhara Haat mere Haat me hona zaroori hai..

SHAYIR:
IBN-E-HASAN Bhatkali








Tumhare waaste dunya se lad sakta hun mai lekin..
Tumhara Haat mere Haat me hona zaroori hai..

SHAYIR:
IBN-E-HASAN Bhatkali




Mujhe har roz kehta hai k mai kal aa hi jaaounga..
Tabi'at kab talak jhoote dilaaso se behalti hai..

SHAYIR:
SHAMEEM HAYAT.





Tadap uthta hun, teri yaad me aansu bahata hun..
Sarapa dard hun lekin bazahir muskurata hun..

SHAYIR:
SHABNAM Bhatkali..







Mareezo! Gham na karo is tarah Khuda keliye..
DAROOD kaafi hai har dard ki dawa keliye..

SHAYIR:
NAZEER RAHI
Kolkata







Tumhare husn pe ye dil hamara marta hai.. Magar izhar-e-mohabbat se dil ye darta hai..

SHAYIR:
SURAJ Karnataki







Teri zulfau ne mujh ko chheda hai,Phir naya hadesa na ho jaye.
Khud ko SURAJ sambhalo har lamha,Koyi tum se khata na ho jaye.

No comments: