Sunday, May 30, 2010

urdu poetry part 210

Dil toot gaya aakhir ab kaise judega ye..
Mai isliye kehta tha dil se na tu khela kar..

SHAYIR:
SHABNAM Bhatkali







Hawas ka naam logo ne Mohabbat ab ke rakkha hai..
Mohabbat ko Mohabbat isliye kehta nahi hun mai..

SHAYIR:
BISMIL Bhatkali







Dil ko yu bekarar mat karna,Ek musafir se pyar mat karna.
Laut aaunga shaam se pehle,Par mera intzaar mat karna.

ILYAS RAHAT







Yaad aata hai tera CHAND sa chehra jab bhi..
'Dil ke aangan me ujala sa bikhar jata hai..'

SHAYIR:
IBN-E-HASAN Bhatkal..







Shikwe tere manzoor sitam tere gawarah.
Do bol mohabbat ke sunane keliye aa.

SHAYIR:
Dr. Suhail Nizam
Shimla nagar, Hubli.







Kal raat meri jaagti aankho ne jo dekha.
Us khwab ki ta'beer batane keliye aa.

SHAYIR:
Dr. Suhail Nizam
Shimla nagar, Hubli.







Din toh tumhe bhulane ki koshish me kat gaya..
Lekin tumhari yaad satayi tamaam raat..

SHAYIR:
ANEES IBRAHIM
Bangalore.







Tum se bichhad ke neend na aayi tamaam raat..
Karvat badal badal ke bitayi tamaam raat..

SHAYIR:
ANEES IBRAHIM
Bangalore.







Neend chura kar aankho se woh khwabo ka mehman gaya.
Ek pal bhi araam nahi hai jab se woh nadaan gaya.

SHAYIR:
SHAMEEM HAYAT









Saans baqi hai jaan baqi hai,
Zeest ka imtihan baqi hai.
Dil ke weeran shahr me ab bhi,
Hasrato ka makaan baqi hai.

-BISMIL

No comments: