Wednesday, May 19, 2010

urdu poetry part 53

Aashna se chehre bhi aashna nahi lagte..
Aa gaye hain ham shayed ajnabi diyaro'n me..

SHAYIR:
ABDULLAH RAAZ Deobandi. (U.P.)





Kya jaane khabar kaisi liye aayega Qasid..
Pehle se mere seene me kohraam bahut hai..

SHAYIR:
AHMED NAZEER,
Vaniyambadi.





Ghairo'n ke jhoot pe unhe imaan aa gaya..
Aur meri sachchi baat ka bilkul yaqee'n nahi..

SHAYIR:
YAHYA AL-WASIQ
Deobandi.





Hawas ka naam logo'n ne Mohabbat ab ke rakkha hai.
Mohabbat ko Mohabbat isliye kehta nahi hun mai.

SHAYIR:
BISMIL Bhatkali.





Ch****'n yaado'n ki baqi reh gayi hain..
Mai ek toota huwa kachcha maka'n hun..

SHAYIRAH:
SHAYISTA JAMAL,
Bhopal....







Ye zindagi Aaghaaz hai Anjaam ki parwa karo..
Achha kaho
Achha suno
Achhe bano
Achha karo..

SHAYIR:
ROSHAN ZAMEER,
Bangalore





Sazish me ham kisi ki na shamil kabhi huwe..
Ilzaam koyi ham pe lagaye toh kya kare'n ???

SHAYIR:
Zia Karnataki,
Bangalore.





Naslo'n ko sar uncha rakhna sikhlawo..
Vurasa ko virse me shoukat mat dena..

SHAYIR:
AYUB BAIG DANISH,
Chickballapur.





Bikne waale ho'n jo chand niwalo'n me..
Aise kamzarfo'n ko izzat mat dena..

SHAYIR:
AYUB BAIG DANISH,
Chickballapur...





Manzil ki samth badh gaye kitne hi Qafile.
Ek naqsh-e-pa ki tarha yahein reh gaya hun mai.

SHAYIR:
FAIYAZ SHAKEEB,
Bangalore

No comments: