Wednesday, May 19, 2010

urdu poetry part 64

Har kisi ne shak ki nazro'n se unhe dekha yaha'n..
Unki thi itni khata k woh thay sarhad paar ke..

SHAYIR:
BISMIL Bhatkali.





Ajdaad ne jo ki thi sharafat hamare naam..
Daulat woh aaj ham ne gawa di hai shehr me..

SHAYIR:
Saifullah Arshad Saif.





GEEDAD pahen ke SHER ki khaal aa gaya toh kya..
Fitrat badalna apni kisi ko rava nahi..

SHAYIR:
NADEEM FAROOQI,
Ramanagram.





Takra ke hadisaat se pathra gayi hai ye..
Utthti nahi kisi ki taraf ye nazar kabhi..

SHAYIR:
YAQOOB ASLAM,
Vaniyambadi.





Ek roshni si phail gayi jism me tamaam..
Aa kar tere khayal ne kya kya maza diya..

SHAYIRAH:
SHAYISTA JAMAL,
Bhopal (M.P.)







Mai kucha-e-jana me chala jaawu'n toh lekin..
Ho jayega didaar zaroori toh nahi hai..

SHAYIR:
ABDULLAH RAAZ
Deobandi.





Zindagi hai 2 din ki phir bhi dekhiye TALIB.
Pyar hai parinde ko kitna aashiyane se.

SHAYIR:
TALIB SIDDIQUI,
Darbhanga,Bihar





Kab talak aaoge jaane ban ke suraj ki kiran..
Mai andhere me raha hun aap hi ke waaste.

SHAYIR:
SHAMEEM HAYAT,
Bangalore.





Ghazal me dil ka sach shamil hai Khalid..
Hamari shayiri NOVEL nahi hai..

SHAYIR:
KHALID FATEHPURI,
Lucknow (U.P.)





Yu'n toh kehte hain sabhi Ham jaan de denge magar..
Doosro'n ke waaste dunya me marta kaun hai ???

SHAYIR:
IBN-E-HASAN


No comments: