Wednesday, May 19, 2010

urdu poetry part 57

Rashk toh karte ho RAHAT tum mere ash'aar par..
Dil ke zakhmo'n ko agar dekha toh cheekh utthoge tum..

SHAYIR:
ILYAS RAHAT





Desh ki janta ka batwara kar ke desh ke bhakto'n ne..
Dekhi apni apni jholi kisko kya khairaat mili.

SHAYIR:
SHAMEEM HAYAT





Mera dil hai ye saraye toh nahi hai koyi..
Jab bhi chahe koyi aajaye aur chala jaye..

SHAYIRAH:
Dr. Virottama Sargam





Woh hi mere khoon ka pyasa nazar aata hai ab..
Jisko samajha tha mai apni zindagi
IBN-E-HASAN..

SHAYIR:
IBN-E-HASAN Bhatkali





Woh din bhi muqaddar thay jo saath guzaare thay.
Ab bakht hai tanhayi aur yaad purani hai.

SHAYIR:
ANEES IBRAHIM,
Bangalore.





Meri Qismat me agar phool nahi tha koyi..
Mere daman me gaye raat mahekta kya hai ???

SHAYIR:
KHALID FATEHPURI,
Lucknow.





Zindagi tere liye dard ke saare chehre..
Apne naghmo'n ke tabassum me chhupaye ham ne..

SHAYIRAH:
SHAYISTA JAMAL,
Bhopal...





Kaana ho k Behra ho k Langda ho k Lula..
Insaan ka har nuqs chhupa deti hai daulat..

SHAYIR:
SYED ABUBAKER Bhatkali..



Dildaar mera ARSHAD itna hi muhazzab hai..
Deta hai mujhe jitni tahzeeb se gaali woh..

SHAYIR:
Saifullah Arshad Saif...





Ghairo'n ki ye sazish hai apnau ka ishara hai..
Kis tarha bataye'n ham kis ne hame'n mara hai..

SHAYIR:
Ehsan Mukarrampuri.






No comments: