Saturday, July 10, 2010

urdu poetry part 262

Ab wahi shakhs baghawat pe utar aaya hai..
Muddato'n jis ne mere ghar ka namak khaya hai..

SHAYIR:
HASEEB SOZ,
Budaun (U.P.)


Khushi jab jab bhi aayi hai parayi si lagi mujh ko..
Ghamo'n ko jab bhi dekha jane pehchane nazar aaye..

(SYED HAIDER RAZA)



Jaan toh le li hai uski muflisi aur bhook ne.
Panchnama bhar ke Qissa khudkushi ka ho gaya.

SHAYIR:
SHAMEEM HAYAT,
Bangalore


Zinda na ho zameer toh Murda hai zindagi..
Phirte rahoge Laash ye lekar kaha'n talak..

SHAYIR:
Saifullah Arshad Saif.


SARGAM Rasool-e-paak ki azmat toh dekhiye..
Parwardigaar aap ka khud mezbaan tha..
(S.A.W.)

SHAYIRAH:
Dr. Virottama Sargam.



Shab-e-meraaj me kehne lage yu'n Qaum ke Haadi.
Khatao'n ko Ilahi bakhsh dena meri ummat ke.
(S.A.W.)

SHAYIR:
WASIM RAJUPURI



Kyun kar na rashk us pe zamana kare bhala..
Ek pal me ho ke aaye jo arsh-e-khuda talak..
(S.A.W.)

SHAYIR:
ILYAS RAHAT.



Gaye meraaj me AAQA waha'n se aaye toh dekha..
Abhi zanjeer hilti hai abhi tak garm bistar hai..
(S.A.W.)
-
SABA DARBHANGVI.



Nabiyo'n me Muhammad hi ko meraaj huwi hai.
Allah ke MEHB00B hai Sultan-e-madeena.
(S.A.W.)

SHAYIR:
Ramachandra
"RAJ PREMI".



Shab-e-meraaj me khushya'n manayi thi farishto'n ne.
Khuda ne jab kaha
khair-ul-wara tashreef laye hain. (S.A.W)

ILYAS RAHAT

No comments: