Saturday, July 10, 2010

urdu poetry part 264

Anjaam se waqif hai magar jhoom raha hai..
Woh phool ke jo
shaakh-e-tamanna pe khila hai..

SHAYIR:
RAJENDAR NATH REHBAR.



Khud nahi aaye nahi bheja koyi paigham tak..
Raah unki ham ne dekhi zindagi ki shaam tak..

SHAYIR:
ISHWAR DATT ANJUM.



Be-natija hi rahegi dil ki baazi dekhna..
Tum kahein ke na rahoge jeet kar ya haar ke..

SHAYIR:
SYED HAIDER RAZA, (SHAMLI)



Bikti nahi har cheez kharidoge kaha'n se..
Milte nahi daulat se kabhi IZZAT-O-MABAAP..

SHAYIRAH:
Dr. Virottama Sargam.



Yu'n toh mai lut'ta raha tadbeer ke haato'n magar..
Zindagi bhar besabab taqdeer ka shikwah kiya..

SHAYIR:
TALIB SIDDIQUI.



Husn-e-jamal-e-yaar in aankho'n me jazb tha.
Nazre'n lagi hamari toh dunya sanwar gayi.

SHAYIR:
KHALID FATEHPURI,
(Lucknow)



Ulajh na jaye'n kahein gardishe'n zamane ki.
Tumhari zulf paresha'n hai tum na saath chalo.

SHAYIR:
MUZAFFAR RAZMI Kairanvi.



Tumhare saath guzaare thay jo haseen lamhe..
Mujhe akele me aksar udaas rakhte hain..

SHAYIR:
ILYAS RAHAT
Muzaffar nagari.



Dear readers,
If u wish to enjoy Ghazals of ur favourite
GHAZAL4U'S Poets,
You are requested to read
BATOOL DIGEST.
Thank you



Niswaniyet ke naam pe dhabba hai badnuma..
Phenka hai jisne sar se dupatta utaar kar..

SHAYIR:
IBN-E-HASAN Bhatkali...

No comments: