Saturday, July 10, 2010

urdu poetry part 265

Kabhi shabnam toh kabhi barq-o-sharar lagta hai..
Aap ke pyar se aksar mujhe dar lagta hai..

SHAYIR:
WASIM RAJUPURI...


Mai aaj ki surkhi hun jabeeno'n pe likhi hun..
Mat phenkna kal ka mujhe Akhbaar samajh kar..

SHAYIRAH:
ANU JASROTIA.
(J&K)



Tang aa ke muflisi se woh nikli thi raat ko.
Barso'n guzar gaye hain woh bachchi nahi mili.

SHAYIR:
NAYEEM AKHTAR
Deobandi.



Taaro'n ke saath
aankh-macholi me shab kati..
Tanha pada raha mera bistar tamaam raat..

SHAYIR:
ROUNAQ AAZAMI,
Chennai.



Likhne wale ne muqaddar kya likha hai dekhiye..
Woh kisi ke ho gaye hain mai kisi ka ho gaya..

SHAYIR:
SHAMEEM HAYAT.



Log mansoob tere naam se karte hain mujhe..
Naam tera mere maathe pe likha ho jaise..

SHAYIR:
HANEEF SHAH SHABNAM Bhatkali.



Log jalte hain toh jal jaaye'n bala se apni..
Naam ke saath tera naam laga rakkha hai..

SHAYIR:
ANEES IBRAHIM,
Bangalore.



Thi khabar kab ye mera chehra bhi padh sakti hai MAA.
Warna uske saamne bhuka na yu'n jata kabhi.

SHAYIR:
SHAAD JAMAYI (BKL)



Shayed ye ittifaq hai mai sochta raha..
DANISH magar woh raah
me har baar mil gaya..

SHAYIR:
AYUB BAIG DANISH,
(Karnataka)



Baat toh jab hai ke ji le koyi gham k daur me.
Warna khush-haali me ji lena kise aata nahi.

SHAYIR:
NOOR AFAQUE,
Vaniyambadi




No comments: